जीत की ख़ुशी

 

2025 Championship Trophy Win

जीत की ख़ुशी

आज इस ख़ुशी की लहरों में,
जिनमें हम फिर से बहने लगे।
ये जैसे सब कुछ हमने किया,
गलियों में फिर से हम मँडराने लगे।

चेहरों पे है मुस्कान यहाँ,
इस जीत की ख़ुशी के गीत हम गा रहे।
सर ऊँचा किया है इस टीम ने,
जिसका हम गौरव यहाँ पे मना रहे।

अपने इस इतिहास के अंदर,
कभी ऐसा नहीं हमने देखा है।
एक माँ के आगे झुक कर किसी ने,
अपना ही मान बढ़ाया है।

इस जीत से लगता है हमको,
भारत में हम सब एक हैं।
यहाँ भेदभाव अब कोई नहीं,
हम एक-दूजे के मीत हैं।
 

काश सच में ऐसा हो जाए,
इस टीम की तरह हम सब एक हो जाएँ।
मिट जाएँ सारे भेदभाव यहाँ,
एक-दूजे से हम मिल जाएँ।

मगर सच में ऐसा होता नहीं,
कुछ दिन में सब भूल जाते हैं।
नफ़रत फैलाने वालों के चक्कर में,
हम फिर से यहाँ फँस जाते हैं।
 

मालूम नहीं ये सब खुशियाँ,
हम कब तक इनको रख पाएंगे।
इस देश में इतने पाखंडी भरे,
हम उनसे कैसे बच पाएंगे।

ये सब जाने कैसे हमको,
एक-दूजे से लड़वाना है।
इसी ख़ुशी में शामिल होना,
बस झूठा प्यार दिखाना है।

इस जीत की ख़ुशी जो है सबको,
इस टीम से अब कुछ सीखें सारे।
हम सारे भारतवासी हैं,
यहाँ प्यार के गीत हम गाएँ सारे।

 

Jeet Ki Khushi

 


Aaj is khushi ki lehron mein,
jinmein hum phir se bahne lage.
Ye jaise sab kuch humne kiya,
Galiyon mein phir se hum mandrane lage.

Chehron pe hai muskaan yahan,
Is jeet ki khushi ke geet hum gaa rahe.
Sar ooncha kiya hai is team ne,
Jiska hum gaurav yahan pe mana rahe.
 

Apne is itihaas ke andar,
Kabhi aisa nahi humne dekha hai.
Ek maa ke aage jhuk kar kisi ne,
Apna hi maan badhaya hai.
 

Is jeet se lagta hai humko,
Bharat mein hum sab ek hain.
Yahan bhedbhaav ab koi nahi,
Hum ek-dooje ke meet hain.
 

Kaash sach mein aisa ho jaaye,
Is team ki tarah hum sab ek ho jaayein.
Mit jaayein saare bhedbhaav yahan,
Ek-dooje se hum mil jaayein.

Magar sach mein aisa hota nahi,
Kuch din mein sab bhool jaate hain.
Nafrat phailane waalon ke chakkar mein,
Hum phir se yahan fans jaate hain.

Maaloom nahi ye sab khushiyan,
Hum kab tak inko rakh payenge.
Is desh mein itne paakhandi bhare,
Hum unse kaise bach payenge.
 

Ye sab jaane kaise humko,
Ek-dooje se ladvaana hai.
Isi khushi mein shaamil hona,
Bas jhootha pyaar dikhana hai.

Is jeet ki khushi jo hai sabko,
Is team se ab kuch seekhein saare.
Hum saare Bharatvaasi hain,
Yahan pyaar ke geet hum gaayein saare.



Copyright © 2025 Rakesh Sharma
All Rights Reserved.

 

 

Comments

Popular posts from this blog

In India When History Becomes a Casualty of "WhatsApp University"

Justice Weaponized: Why Injustice Wrapped in Religion Fuels the Fire in Kashmir and POK

India at the Brink: Power, Division, and the Fight for the Nation’s Soul